Thursday, July 29, 2010

Urdu Shayari | Shayari | Sher O Shayari

Urdu Shayari Shayari Sher O Shayari



Zindagi kya hai anasir me zahure tartib,
Maut kya hai inhi ajza ka paresha hona,

Is daur me zindagi bashar ki,
Bimar ki raat ho gayi hai,

Hadiso ka kya hai ye to zindagi ke sath hai,
ek se bach kar chaloge dusra mil jayega,

Bara sakht hai rasta zindagi ka,
zara aap bhi do kadam aaiyega,

Garz ke kat diye zindagi ke din ay dost,
wo teri yaad me hu ta tujhe bhulane me,

You to marne ke liye zehar sabhi pite hai,
Zindagi tere liye zehar piya hai maine.

No comments:

Post a Comment

Btc address

 bc1q375c8srn3dwqknjhjte9p6r7h87sgn8aejt79k